muhib sayon mein pal raha hun ki lakh ranj-o-alam mein mahsur ek jins-e-giran hai iqrar jis ka aafat ka sabab hai main kaise bhulun main bhul jaun kashmakash main dhul aankhon mein jhonk dalun to raat subh-e-bahaar hogi mera tasalsul mere muqaddar ke sath paiham rawan-dawan hai zamin sae ko jhel legi main chal padunga jo bhed jebon par bojh bante hain jo bhul galiyan mita ke ru-posh ho gai hai wo chhup gai wo chhup gai hai to pair mitti safar ka anjam qarz kar lo jo aisa kar lo to subh chato zamin chato mujhe na dekho ki main to nasl-e-qadim-sala se muntashir hun main lafz dhundun ki khud tarik aaine mein utar lun dekhun tod dalun yunhi tasalsul ke sath qismat ka wasta hai jo aaina hai main us ko todun main us ko jodun ki jis ka iqrar to garan hai