kahne ko to baby hain ye sach puchho to nani hain ye aafat ki parkala kahiye shaitan ki bhi khala kahiye shahina ki choti khinchi farzana ki copy le li is ko mara us ko jhapta kaam yahi hai sare din ka aasha hai ek roz gagan par chamkengi ye tara ban kar titli ek firdaus ki hain ye nannhi-munni gol si hain ye aashaon ka darpan kahiye man ke dil ki dhadkan kahiye dadi ki ummid yahi hain khushiyon ki tamhid yahi hain bholi-bhaali surat in ki achchhi achchhi aadat in ki hoga har-su in se ujala dur karengi jag ka andhera jo beti beta se bhi miliye bas aafat ki pudiya se bhi miliye hansmukh si ek gudiya hain ye zid karne mein yakta hain ye rone par ye aati hain jab ghanton shor machati hain tab dubli patli nazuk si hain juhi ki ek nannhi kali hain qaum ki khidmat kaam ho in ka jag mein raushan nam ho in ka