chahe tum meri binai khurach dalo phir bhi apne khwab nahin chhodunga un ki lazzat aur aziyyat se main apna koi ahd nahin todunga tez nazar na-binaon ki aabaadi mein kya main apne dhyan ki ye punji bhi ginwa dun han mere khwabon ko tumhaari subhon ki sard aur saya-gun tabiron se nafrat hai in subhon ne sham ke hathon ab tak jitne suraj beche wo sab ek barfani bhap ki chamkili aur chakkar khati golai the so mere khwabon ki raaten jalti aur dahakti raaten aisi yakh-basta tabiron ke har din se achchhi hain aur sachchi bhi hain jis mein dhundla chakkar khata chamkila-pan chhe atraf ka rog bana hai mere andhere bhi sachche hain aur tumhaare rog ujale bhi jhute hain raaten sachchi hain din jhute jab tak din jhute hain jab tak raaten sahna aur apne khwabon mein rahna khwabon ko bahkane wale din ke ujalon se achchha hai han main bahkaon ki dhund nahin odhunga chahe tum meri binai khurach dalo main phir bhi apne khwab nahin chhodunga apna ahd nahin todunga yahi to bas mera sab kuchh hai mah o sal ke ghaarat-gar se meri thani hai meri jaan par aan bani hai chahe kuchh ho mere aakhiri sans talak ab chahe kuchh ho