fikr

nahin har chand kisi gum-shuda jannat ki talash
ek na ek khuld-e-tarab-nak ka arman hai zarur

bazm-e-doshamba ki hasrat to nahin hai mujh ko
meri nazron mein koi aur shabistan hai zarur

mit ke barbaad-e-jahan ho ke sabhi kuchh kho ke
baat kya hai ki ziyan ka koi ehsas nahin

kar-farma hai koi taza junun-e-tamir
dil-e-muztar abhi amag-gah-e-yas nahin

taza-dam bhi hun magar phir ye taqaza kyun hai
hath rakh de mere mathe pe koi zohra-jabin

ek aaghosh-e-hasin shauq ki meraj hai kya
kya yahi hai asar-e-nala-e-dil-ha-e-hazin

mah-washon ka tarab-angez tabassum kya hai
hai to sab kuchh ye magar khwab asar kyun ho jae

husn ki jalwa-gah-e-naz ka afsun taslim
yahi qurban-gah-e-arbab-e-nazar kyun ho jae

main ne socha tha ki dushwar hai manzil apni
ek hasin bazu-e-simin ka sahaara bhi to hai

dasht-e-zulmat se aakhir ko guzarna hai mujhe
koi rakhshanda o tabinda sitara bhi to hai

aag ko kis ne gulistan na banana chaha
jal bujhe kitne khalil aag gulistan na bani

tut jaana dar-e-zindan ka to dushwar na tha
khud zulekha hi rafiq-e-mah-e-kanan na bani

ba-in inam-e-wafa uf ye taqaza-e-hayat
zindagi waqf-e-gham-e-khak-nashinan kar de

khun-e-dil ki koi qimat jo nahin hai to na ho
khun-e-dil nazr-e-chaman-bandi-e-dauran kar de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close