aankhon mein koi bas jata hai mithi si hansi hans jata hai ehsas ki lahren un tarik jaziron se takraati hain jahan naghme pankh sanwarte hain sangin fasilon ke gumbad se pahre-dar pukarte hain kya karta hai dil darta hai dil darta hai in kali akeli raaton se dil darta hai in suni tanha raaton mein dil dub ke guzri baaton mein jab sochta hai kya dekhta hai har samt dhuen ka baadal hai wadi-o-bayaban jal-thal hai zakhkhar samundar sukhe hain pur-haul chatanen pighli hain dharti ne tutte taron ki jalti hui lashen nigli hain pehna-e-zaman ke sine par ek mauj angdai leti hai is aab-o-gil ki daldal mein ek chap sunai deti hai ek thirkan si ek dhadkan si aafaq ki dhalwanon mein kahin tanen jo humak kar milti hain chal padti hain rukti hi nahin in ragniyon ke bhanwar bhanwar mein sadha sadiyon ghum gain in qarn-alud masafat mein lakh aable phute dip bujhe aur aaj kise malum zamir-e-hasti ka aahang-e-tapan kis dur ke des ke kuhron mein larzan larzan raqsan raqsan is sans ki rau tak pahuncha hai is meri mez ki jalti hui qindil ki lau tak pahuncha hai kaun aaya hai kaun aata hai kaun aaega an-jaane man ki murakhta ko kya kya dhyan guzarta hai dil darta hai dil darta hai un kali akeli raaton se dil darta hai