mujhe ye yaqin tha ki jab main sunaunga is shahr ko shab ke pahlu mein kis tarah paya hai main ne to sab log mere qarib aa ke hairat se mujh ko takenge bhari piyaliyan chae ki hath se chhut kar gir padengi nigahon mein gahri udasi ke baadal umadne lagenge nae muashare ki bad-amaliyon aur bad-chalniyon par bade sakht lahje mein tanqid hogi magar koi pyali na hathon se chhuti na gahri udasi nigahon mein umdi nae maashre ki bad-amaliyon aur bad-chalniyon par kisi ne na sang-e-malamat hi phenka suna sirf itna abhi tum ko is shahr ke jaanne mein kai din lagenge