main safar mein hun liye kandhon pe apni raegan aazadiyon ke be-samar unchas sal sans jab tak sath hai main khwahishon ka jagmagata hath thame teri hamrahi mein hun khwahishen ek shamiyana hain larazti aakhiri hichki ke aur kuchh mangti pahli sada ke darmiyan jis ke sae mein guzarte waqt ke waqt ke chalte hue lamhon ko milta hai sukun hai unhi jalte hue lamhon ki jagmag mein meri pahchan gum lamhe chalte hain guzarta waqt andha hai magar aur guzarte waqt ki pahchan deta hai to mustaqbil ka wo naqsh-e-gurezan haft-rang jo ufuq tak jae mai raste se ab bhi barson dur hai main safar mein hun liye kandhon pe apni raegan aazadiyon ke be-samar unchas sal dhundhta hun aane wale waqt mein us ek lamhe ko jo sach kahne ki jurat de mujhe taki mar jaane se pahle ek bar main bhi ashya ko pukaron un ke apne nam se is liye ki har kitab-e-asmani mein likha hai sach kaho aur yahi khwahish hai jo ab tak sarab-e-khwab hai lekin aisa khwab dekha kis ne jo tabir ki had mein na ho main ki ab bhi khwahishon ka hath thame teri hamrahi mein hun main ne ab tak kaise kaise nam de kar tujh ko dekha hai khud apne rang mein chahta hun ab kabhi tujh ko pukarun tere apne nam se is liye main har nae imkan ki sarhad tak chalunga tere hath rah ki diwar kyun mere liye hun raegan aazadiyon ke be-samar unchas sal is liye ki sans chalti hai to har manzil meri banhon mein hai is liye ki khwahishen to waqt ki manind hain be-sin-o-sal is liye ki waqt kab budha hua budhe to hote hain darakht main ki ab bhi khwahishon ka hath thame teri hamrahi mein hun har nae imkan ki sarhad tak chalunga tere sath