ek nida aai bahut dur se kanon mein mere phir khayal aaya ki ye wahm mera ho shayad mere uljhe hue khwabon ke sanam khane hain mere anfas ki mauhum sada ho shayad main tasawwur ke khalaon mein bhatakta hun sada shabnami soch ki ras aati nahin mujh ko hawa jo mere shauq-e-takallum ki talabgar na ho is se qurbat ki tamanna ka taqaza be-sud khwab jo aankhon mein majhul nazara ho jae us ke sach hone ka be-mani dilasa be-sud be-nida khwahish laila se mujhe kya hasil aisi nadida zulekha se mujhe kya hasil kya khabar is ke takhayyul mein mera nam na ho mujh se milne ki himaqat se wo katra jae kya pata meri rifaqat use manzur na ho mujh se mil baithe magar jald hi ukta jae wasl mamura-e-ehsas ke khwabon mein rahe hasrat sharaf mulaqat sarabon mein rahe kya pata us ko mere qurb ki khwahish hi na ho baat karni bhi na ho us ko gawara mujh se kya khabar pahli mulaqat pe wo ye kah de rakhna ummid na milne ki dobara mujh se ye tasawwur mere pindar se takraate hain mere jazbaat isi khauf se mar jate hain jo sada dur se aai hai faqat wahm se wo wahm ke sae se ummid lagana hai fuzul dahr ki talkh haqiqat ko nazar mein rakh kar ret par khwabon ki taswir banana hai fuzul aisi taswir ka har rang utar jata hai waqt ke sath khalaon mein bikhar jata hai