tum yahan so jao tum ko ye jagah bhi gar na milti tum gila hum se na karte hum tumhaare sath kuchh mitti diye jate hain isi mitti se ab ham-rang ho jao ye sannata tumhaare sath hai ab is se ham-ahang ho jao tumhaare chand suraj mar chuke hain tumhaari raushni zulmat umid o na-umidi naw kaghaz ki gharaunde ret ke bachpan jawani, umr ka ek ek lamha tum jo murda aur zinda chhode jate ho wo hum auron ko de denge akele jis tarah aae ho tum wo sab bhi aaenge yahan tak sab ye warna chhod jaenge! koi rahzan bane ya rah roke ham-safar ho ya koi rasta dikhae apna rasta sab ko tanha par karna hai hamara kaam suli par chadhana hai so hum karte hain lekin bojh suli ka tumhein ko hai uthana tum yahan so jao apna bojh uthae hum bhi aaenge hamare chand suraj bhi marenge!