ai mere dushman-e-jaan main tujhe aur to kuchh kah nahin sakta lekin kash taqdir kabhi tujh ko dikhae wo din jab mohazzab si tawaif koi apne peshe ki mazammat kar ke tujh se izhaar-e-mohabbat kar ke tere aasab pe nashshe ki tarah chha jae aur tujhe us ki mohabbat ka yaqin aa jae ai mere dushman-e-jaan