idhar se na jao idhar rah mein ek budha khada hai jo peshaniyon aur chehron pe aisi bhabhut ek mal dega sab jhurriyan phat padengi siyah, mar jaise, chamakte hue kale baalon pe aisi sapidi umand aaegi kuchh tadaruk nahin jis ka koi koi rasta aur dhundo ki is pir-e-fartut ki tez nazron se bach kar nikal jaen aur is ki zad mein na aaen kabhi hum idhar se na jao idhar main ne ek shakhs ko jate dekha hai aksar jawanon ko jo rah mein rok leta hai un se wahin baaten karta hai mil kar jo suqraat karta tha yunan ke manchalon se yaqinan use ek din zahr pina padega idhar se na jao idhar raushni hai kahin aao chhup jaen jakar tamam aafaton se mujhe ek tah-khana malum hai khushnuma sa jo shahan-e-dehli ne banwaya tha is gharaz se ki abdaliyon, nadiri fauj ki dastaras se bachen aur baithe rahen sare hangamon ki zad se hat kar ye dar-asl miras hai aap ki meri sab ki salatin-e-dehli se pahle kisi aur ne is ki buniyaad rakkhi thi lekin wo ab qabl-e-tarikh ki baat hai kaun jaane idhar se na jao idhar shah-nadir nahin aaj koi bhi lekin wahi qatl-e-am aaj bhi ho raha hai ye miras hai aap ki meri sab ki ye saughat bairuni hakim hamein de gae hain chalo samne ke andhere mein ghus kar utar jaen tah-khane ki khamushi mein ye sab khidkiyan band kar den koi chikhne bain karne ki aawaz hum tak na aae koi khun ki chhint daman pe aakar na baithe kabhi tum ne ganja piya hai? koi bhang ka shauq, koi jadi-buti khai na koken afyun kuchh bhi kabhi koi nashsha nahin tum ne chakkha na aghlam-e-amrd-parasti se rishta raha hai koi tajraba bhi nahin zindagi ka? fasadat dekhe the taqsim ke waqt tum ne hawa mein uchhalte hue danthalon ki tarah shir-khwaron ko dekha tha katte aur pistan-burida jawan ladkiyan tum ne dekhi thin kya bain karte? nahin ye to nashsha nahin tajraba bhi nahin aisa koi ye ek saneha hai faramosh-gari ka ehsan mano ye sab kal ki baaten hain, bosida baaten jinhen bhul jaana behtar faramosh-gari bhi ek neamat-e-be-baha hai idhar se na jao koi rah mein rok lega naya koi khatra naya masala koi jis ko na socha na samjha na ehsas hai jis ka ab tak koi aisi surat nikalo ye sab aafaten apna daman na pakden koi aur rah-e-farar aisi dhundo ki hum zindagi ke jahannam ko jannat samajh len!