ye sanp aaj jo phan uthae mere raste mein khada hai pada tha qadam chand par mera jis din usi din ise mar dala tha main ne ukhade the sab dant kuchla tha sar bhi marodi thi dum tod di thi kamar bhi magar chand se jhuk ke dekha jo main ne to dum is ki hilne lagi thi ye kuchh rengne bhi laga tha ye kuchh rengta kuchh ghisatta hua purane shiwale ki jaanib chala jahan dudh is ko pilaya gaya padhe panditon ne kai mantar aise ye kam-bakht phir se jilaya gaya shiwale se nikla wo phunkarta rag-e-arz par dank sa marta badha main ki ek bar phir sar kuchal dun ise bhaari qadmon se apne masal dun qarib ek viran masjid thi, masjid mein ye ja chhupa jahan is ko petrol se ghusl de kar hasin ek tawiz gardan mein dala gaya hua jitna sadiyon mein insan buland ye kuchh us se uncha uchhaala gaya uchhal ke ye girja ki dahliz par ja gira jahan is ko sone ki kechul pahnai gai salib ek chandi ki sine pe us ke sajai gai diya jis ne duniya ko paigham-e-amn usi ke hayat-afrin nam par use jang-bazi sikhai gai bamon ka gulu-band gardan mein dala aur is dhaj se maidan mein us ko nikala pada us ka dharti pe saya to dharti ki raftar rukne lagi andhera andhera zamin se falak tak andhera jabin chand taron ki jhukne lagi hui jab se science zar ki mutia jo tha alam ka e'tibar uth gaya aur is sanp ko zindagi mil gai ise hum ne zahhak ke bhaari kandhe pe dekha tha ek din ye hindu nahin hai musalman nahin ye donon ka maghz aur khun chatta hai bane jab ye hindu musalman insan usi din ye kam-bakht mar jaega