ye rahguzar rahguzar-e-khuban hai jis ka har mod kahkashan hai sajal shagufta hasin dil-awez khub-surat bahaar saman idhar se guzar gaya zamana ki jaise guzre ramida aahu jilau mein subhon ki muskurahat labon pe raushan si gungunahat jabin pe taqdis-e-fan ka qashqa nazar nazar mein sahar ke khake lachakti bahen mahakte gesu sabih abru gudaz bazu qadam qadam par pade hain halqe thahar thahar kar baje hain ghunghru ye rahguzar rahguzar-e-khuban hai jis ka har mod kahkashan hai ye rahguzar hosh-mand mehnat-kashon ki danish ke shahzadon ki rahguzar hai ki jis ka har mod jehd-o-fan ki alamaton ka nagar nagar hai mere rafiqo ye rahguzar ek nai dagar hai ye rahguzar fahm aur basirat ki rahguzar hai magar abhi zulf ta-kamar hai