dard jis dil mein ho us dil ki dawa ban jaun koi bimar agar ho to shifa ban jaun dukh mein hilte hue lab ki main dua ban jaun uf wo aankhen ki hain binai se mahrum kahin raushni jin mein nahin nur jin aankhon mein nahin main in aankhon ke liye nur-e-ziya ban jaun hae wo dil jo tadapta hua ghar se nikle uf wo aansu jo kisi dida-e-tar se nikle main us aansu ke sukhane ko hawa ban jaun dur manzil se agar rah mein thak jae koi jab musafir kahin raste se bhatak jae koi khizr ka kaam karun rah-numa ban jaun umr ke bojh se jo log dabe jate hain na-tawani se jo har roz jhuke jate hain un zaifon ke sahaare ko asa ban jaun khidmat-e-khalq ka har samt mein charcha kar dun madar-e-hind ko jannat ka namuna kar dun ghar kare dil mein jo 'afsar' wo sada ban jaun