tujh se jo main ne pyar kiya hai tere liye? nahin apne liye waqt ki be-unwan kahani kab tak be-unwan rahe ai mere soch-nagar ki rani ai mere khuld-e-khayal ki hur itne dinon jo main ghulta raha hun tere bina yunhi dur hi dur soch to kya phal mujh ko mila main man se gaya phir tan se gaya shahr-e-watan mein ajnabi thahra aakhir shahr-e-watan se gaya ruh ki pyas bujhani thi par yahan honton ki pyas bhi bujh na saki bachte sambhalte bhi ek sulagta rog bani mere ji ki lagi dur ki baat na soch abhi mere hat mein tu zara hat to de tujh se jo main ne pyar kiya hai tere liye? nahin apne liye bagh mein hai ek bele ka takhta bhini hai is bele ki sugandh ai kaliyo kyun itne dinon tum rakkhe rahin ise god mein band kitne hi hum se rup ke rasiya aae yahan aur chal bhi diye tum ho ki itne husn ke hote ek na daman tham sake sehn-e-chaman par bhaunron ke baadal ek hi pal ko chhaenge phir na wo ja kar laut sakenge phir na wo ja kar aaenge ai mere soch-nagar ki rani waqt ki baaten rang aur bu har koi sath kisi ka dhunde gul hon ki bele main hun ki tu jo kuchh kahna hai abhi kah le jo kuchh sunna hai sun le tujh se jo main ne pyar kiya hai tere liye? nahin apne liye dil ki na puchho kya kuchh chahe dil ka to phaila hai daman git se gal ghazal si aankhen saad-e-simin barg-e-dahan jude ke inhin phulon ko dekho kal ki si in mein bas kahan ek ek tara kar ke dubi mathe ki tannaz afshan sahne ka dukh sah na sake hum kahne ki baaten kah na sake pas tere kabhi aa na sake hum dur bhi tujh se rah na sake kis se kahe ab ruh ki bipta kis ko sunae man ki baat dur ki rah bhatakta rahi jiwan-raat ghaneri raat honton ki pyas bujhani hai ab tere ji ko ye baat lage na lage tujh se jo main ne pyar kiya hai tere liye? nahin apne liye