aaj main dur bahut dur nikal aaya hun be-talab tag-o-dau dil mein kawish na talash na koi khwahish makhfi na tamanna-e-maash hawas-e-kham na sauda-e-tamam yunhi chalta hua chalta hua aa pahuncha hun pai-ba-pai gam-ba-gam kis qadar dur nikal aaya hun us se pahle bhi chala hun main nai rahon par shah-rahon se pare khar-zaron mein ghisatti hui ek surkh lakir ek sisakti hui dil-doz nafir sarsaraate hue malbus mahakti hui sans lazzat-o-karb ka maddham bam-o-zer aaj lekin main bahut dur nikal aaya hun aur ek sham sar-e-rah-guzar wo meri laghzish-e-pa meri wo be-rah-rawi khud-faramosh subuk-dosh-e-amal apne ajdad ke na-karda gunahon ki uqubat se bari ek hiran chaukdi bharta hua khamosh-khiram sham ke waqt sar-e-rah-guzar main bahut dur bhatak nikla tha aaj lekin main bahut dur nikal aaya hun aap se aap bahut dur bahut dur nikal aaya hun shah-rahon se pare dur guzargahon se be-talab be-tag-o-dau khanqahon se alag daur sanam-khanon se hawas-e-kham na sauda-e-tamam yunhi chalta hua chalta hua aa pahuncha hun pai-ba-pai gam-ba-gam kis qadar dur bahut dur nikal aaya hun