main ghas hun hari-bhari ghas pani mile to hari-bhari na mile to ghas-phus thodi nargisiyat ki ijazat dijiye are jab ugti hun to kya joban hota hai mujh par nai nai ghas par suraj ki kirnen padti hain to andhon ki aankhon mein bhi tarawat utar aati hai janab aur hae wo taza taza ghas ki khushbu par afsos jab der tak barish na ho to pili pad jati hun magar dhup pahle mujhe sona aur phir kundan bana deti hai zamin par istada hazaron pahadiyon par mera hi rang chadha hota hai aankh rakhne wale kahte hain sabze se dhaki pahadiyan kitni bhi hasin hon sone se dhaki pahadiyon ki baat hi alag hai lekin ye main kya bad hankne baith gai aamdan barsar-e-matlab main sanpon ke bare mein kuchh kahna chahti hun sanp jo ghas mein chhup kirdar karte hain ghas se dhake lawn bagh aur park karodon insanon ko taskin dete hain bachche ghas par bhagte daudte uchhalte kudte aur lot-pot hote hain jawan mujh par chalte hue mohabbaton ka izhaar aur iqrar karte hain umr-rasida log dur dur tak phaile sabze ko dekh kar dil ki ghutan aur ehsas-e-ziyan bhul jate hain main khush hoti hun ki kisi ke kaam aa hi hun lekin meri khushi dukh aur sharmindagi mein badal jati hai jab mere andar chhupe hue sanp insanon ko das lete hain sochti hun in sanpon ka kya ilaj karun sochti hun in sanpon ka koi ilaj hai bhi ya nahin sochti hun sanp mujhi mein to nahin chhupe wo to zamin ke kone kone mein maujud hain us ke andar bhi us ke bahar bhi sochti hun jis tezi se sanpon ki tadad badh rahi hai kal ye sari zamin par na chha jaen sochti hun koi sailab hi aa jae jo unhen baha le jae phir khayal aata hai ye bah kar jaenge kahan aakhir ek na ek din pani utrega aur ye dobara khushki par chadh aaenge aur mere hi daman mein panah le lenge sochti hun khuda ne mujhe banaya tha to unhen kyun banaya aur agar banaya hi tha to un ke andar zahar kyun bhar diya kyun ho gae ye insan ke dushman magar sare sanp to zahrile nahin hote aur kya insanon ke andar bhi zahr nahin bharta ja raha hai ab sochti hun insan sanp se darta hai to sanp bhi insan se darta hai insan ne sanp mein shaitan ki shakl dekhi thi jis ne use jannat se nikalwa diya tha insan ke andar shaitan se barabar utarne ki talab rakh di gai hai jahan kahin sanp ko dekhta hai use marne ki koshish karta hai sanp ko bhi insan ke us azli-o-abdi irade ki khabar hai isi liye to insan ki aahat ya bu pate hi bhag khada hota hai kharabi to meri wajh se hoti hai ghas mein chhupa sanp insan ko dekh kar bhagta hai lekin insan use dekh nahin pata aur na-danista us ka panw sanp par pad jata hai aur sanp apni jaan bachane ke liye use das leta hai yun main zariya ban jati hun insan ki maut ka mujhe apna ye kirdar hargiz pasand nahin sochti hun insanon aur sanpon ne aapas mein ladna hi hai to meri aad mein na laden sadkon par laden gharon ke andar laden chatyal maidanon mein laden sahraon mein laden phir khayal aata hai in jaghon par to pahle hi ghamsan ki ladai ho rahi hai insan insan se lad raha hai aur us ne tarah tarah ke mohlik kimiyai jauhari aur nafsiyati hathiyar ijad kar liye hain ek dusre ko dukh dene aur marne ke liye sochti hun kahin insanon ne marne ka shauq to nahin pal liya aur agar unhon ne marne hi ki than li hai to main kis chakkar mein un ka gham kha rahi hun mujhe yahi fikr hai na ki zindagi arbon sal ke safar mein insan tak pahunchi hai aur ab agar insanon ke hathon insan tabah ho gae aur sath hi zamin barbaad ho gai to mein bhi mari jaungi zindagi hi rukhsat ho jaegi zamin se phir khayal aata hai main to zindagi ki bahut ibtidai surat hun agar zindagi ka safar khota ho jaane ki is qadar fikr lahiq hai mujhe to insan jo zindagi ka afzal-tarin namuna hain wo ijtimai khud-kushi ke raste par kyun chal nikle hain sanpon se dushmani nibahte nibahte khud sanp kyun ban gae hain khub-surat aur be-zarar sanp nahin zahrile aur mohlik sanp jo ek dusre ko das rahe hain aur kuchh insan to daulat aur taqat samet kar azhdahe ban gae hain afsos to ye hai ki mare ziyaada-tar wo ja rahe hain jin ka koi qusur nahin hota azdahon ki ladai mein chhote-mote sanp makkhiyon aur chiyuntiyon ki tarah pis kar rah jate hain sochti hun kisi sailab ne zamin ko sanpon se pak bhi kar diya to sanpon ki tarah phatkarte insanon se kyunkar chhutkara hoga isi liye soch soch kar chup ho rahti hun lekin ye chup andar hi andar mujhe khae jati hai dekhiye mein pili padti ja rahi hun hare-bhare sabze se rukha-sukha ghas-phus banti ja rahi hun aur zamin par sona bikharta ja raha hai pahadiyan sone se damak uthi hain magar insan un se be-niyaz kaghzi sone ki talash mein ek dusre ka gala katte hue zamin par mare mare phir rahe hain kash insan kaghzi sone se nigah utha kar dekhte ki jis sanp ko wo shaitan samajh kar marne daudte hain wo to hirs ki surat mein us ke dil mein ja baitha hai aur un ke apne hathon kaghaz ke chand tukdon ki khatir nasl-e-insani ko halak karwa raha hai sochti hun aag ugalte sanpon ki tarah kisi insan ki phunkar ne mujhe chingari dikha di to jangal ke jangal jal kar rakh ho jaenge insan ko to apni nau ki fikr nahin wo zamin par aabaad zindagi ki dusri suraton ki kya parwa karega kash use fursat hoti dekhne ki ki jis ghas-phus ko wo be-dhyani mein jila dalta hai wo zamin ka libas hai is zamin ka jis ne use pala tha jo sari zindagi ki tarah us ki bhi man hai aur ghas-phus ko jala kar wo apni man ko be-satr kar raha hai lekin main ye kya pakhan le baithi hun main to apna taaruf kara rahi thi aur apne andar chhupe sanpon ki baat kar rahi thi aur chal padi sanpon se insan ki taraf insanon ki taraf jo sanpon ki taraf chal rahe hain waise sanp bhi apne bachche kha jata hai aur ab insan bhi apne bachche kha raha hai aur main wahi ghas mahw-e-yas udas