subuk-pa hawa ki tarah main guzarta raha subuk-pa hawa ki kahin koi manzil nahin hawa be-karan waqt ki mauj azal se tarasti rahi kahin pal ko susta sake so sake magar dur hadd-e-nazar ek dhundalka tha ab bhi dhundalka hai sahil nahin mujhe zindagi ek khalish ban ke dasti rahi kabhi aisi manzil na aai jahan koi taza nafas ho sake har ek dhundli manzil se pahle naya rasta hi ubharta raha kabhi jalte phulon ki nau-khez khushbuen dil mein dahakti rahin kabhi khushk jhulsi hui tahniyan abr-paron ko hasrat se takti rahin wo kuchh mujh se kahne ko thin aur jhijakti rahin kabhi sukh ke sae kabhi dukh ke dariya mera dil machalta raha kahin phaile maidan kahin sakht unchi chatanon ke uljhe hue silsile magar meri manzil yahan bhi nahin thi wahan bhi nahin main chalne pe majbur chalta raha main har bar kuchh bhul aaya hun pichhe kahin yunhi jaise khud rah gaya hun kasi phul ke pas chalte hue