tanhai shikasta par samete aakash ki wusaton pe hairan hasrat se khala mein tak rahi hai yaadon ke sulagte abr-pare afsurda dhuen mein dhal chuke hain pahna-e-khayal ke dhundalke ab tira-o-tar ho gae hain aansu bhi nahin ki ro sakun main ye maut hai zindagi nahin hai ab aae koi mujhe utha kar is unche pahad se patak de har samt fazaen chikh utthen baadal bhi garaj garaj ke barsen kondon ke kadakte taziyane lahraen ghani siyah shab ke sine mein kai shigaf kar den tarikiyan phir lapak ke utthen aapas mein lipat lipat ke larzen aur tutte girte lakhon ashjar kahte rahen mujh se sambhlo sambhlo main sakht o siyah pattharon se takraata hua ludhakta jaun is shor mein koi kah raha ho ye maut nahin hai zindagi hai