darpesh achanak jo hui ek zarurat 'wahi' se hui rail pe chadhne ki himaqat aa dhamki zara waqt se pahle hi wo gadi 'wahi' ne ghadi dekhi to lahaq hui hairat hairat thi ki tajil ki kya wajah hai aakhir takhir to hai rail ki derina riwayat al-qissa ticket manzil-e-maqsud ka le kar asbab liye daud ke pahuncha wo ba-ujlat aage se bhi pichhe se bhi khata hua dhakke dakhil hua ek chhote se dabbe mein ba-diqqat dibba tha ki ek ganj-e-shahidan ka namuna thodi si jagah tang-tar az-gosha-e-turbat turbat mein magar panw to phailate hain murde zindon ko nahin rail mein us ki bhi suhulat asbab pe baitha tha koi tang adae khidki pe khada tha koi diwar ki surat is bhid mein gunjaish-e-alfaz kahan thi alfaz bhi honton se nikalte the ba-diqqat tha dam-ba-khud ek goshe mein simta hua 'wahi' kam-bakht ko thi sans ke lene ki zarurat aur sans ke lene ka na tha koi bhi imkan thi band hawa oxygen ki thi ye qillat the ek buzurg us ke muqabil mein jo baithe dekhi na gai un se jo 'wahi' ki ye haalat farmane lage aap kahan jaoge bhayya bardasht bhi kar paoge raste ki saubat ye rail nahin hazrat-e-'sauda' ki hai ghodi daur-e-zamin tai karti hai ek din ki masafat kal is ko pahunchna tha jahan aaj hai pahunchi chaubis pahar late hai allah re surat main apni tabahi ka bayan kya karun bhayya patna mein thi kal mere muqaddame ki samaat patna hai magar aaj bhi dilli ki tarah dur roti hai meri shamat-e-amal ko qismat ye sunte hi kan us ke khade ho gae fauran ki arz ki ye aap ne kya kah diya hazrat main ne to ye samjha tha ki hai waqt pe aai chaubis pahar late qayamat hai qayamat bole wo buzurg aap bade sada hain bhayya hum log kisi kaam mein karte nahin ujlat malum nahin aap ko ye nukta-e-tarikh jo qaum ki khaslat hai na hi rail ki khaslat wo rail ki raftar ho ya waqt ki raftar is mulk mein donon ko tasahul ki hai aadat pabandi-e-auqat mein hai shan-e-ghulami aazad hua hind to kya is ki zarurat