aao bachcho suno kahani ek tha raja ek thi rani donon ek din shahr mein aae shahr se ek ek gudiya lae raja ki gudiya thi dubli rani ki gudiya thi moti raja ki gudiya thi lambi rani ki gudiya thi chhoti raja bola meri gudiya meri gudiya badi siyani gudiyaon mein jaise rani rani boli meri gudiya meri gudiya ke kya kahne achchhe achchhe gahne pahne raja bola meri gudiya meri gudiya bin bajae mithe mithe gane gae rani boli meri gudiya meri gudiya nach dikhae uchhle kude shor machae donon mein bas hui ladai donon ne ki hatha-pai rani boli sun meri baat meri gudiya ke do hat ek se khae dal chapati ek se khae sag aur pat raja bola bas chup kar meri gudiya ke do sar jaise chidiya ke do par ek idhar aur ek udhar rani boli hun hun hun meri gudiya ke do mun ek se khae garm pakaude ek se bole sun sun sun itne mein ek badhiya-mai daudi daudi andar aai aate hi ek dant pilai kya hai jhagda kya hai ladai ye bhi gudiya wo bhi gudiya ye bhi siyani wo bhi siyani tu hai raja tu hai rani khatm karo ye ram-kahani