suno ek maze ki kahani suno kahani hamari zabani suno surayya ki gudiya thi chhoti bahut na dubli bahut aur na moti bahut jo dekho to nannhi si gudiya thi wo magar ek shararat ki pudiya thi wo jo soti to din raat soti thi wo jo roti to din raat roti thi wo na ammi ke sath aur na bhayya ke sath wo har waqt rahti surayya ke sath surayya ne ek din ye us se kaha meri nannhi gudiya yahan baith ja bulaya hai ammi ne aati hun main khatoli mein tujh ko sulati hun main wo nadan gudiya khafa ho gai wo roi wo chillai aur so gai achanak wahan ek pari aa gai khuli aankh gudiya ki ghabra gai to boli pari muskuraati hui sunahri paron ko hilati hui idhar aao tum mujh se baaten karo main nazuk pari hun na mujh se daro wo gudiya magar aur bhi dar gai lagi chikhne hae main mar gai miri pyari aapa bacha lo mujhe kisi kothari mein chhupa lo mujhe surayya ne aa kar uthaya use utha kar gale se lagaya use gale se lagate hi chup ho gai wo chup ho gai aur phir so gai surayya ko dekha pari ud gai jidhar se thi aai udhar mud gai