yunhi dekhun jo rakhi ko to ye rangin dora hai jo dekhun ghaur se is ko to hai zanjir lohe ki jo badh kar qaid kar leti hai aafat apne bhai ki musibat ki haqiqat kya musibat aa nahin sakti musibat kanp jati hai jo rakhi dekh leti hai kisi bhai ke hath mein rakhi ke dhage mein bahan ne pyar bandha hai itihas mein rakhi hai rishta bhai bahnon ka hawala is mein poshida hai sadiyon ke rishton ka bandha hai pyar is mein bahan ka aur us ke purkhon ka rakhi nibhana laj rakhi ki mere bhayya bahan ka man rakh lena bandha kar hath mein rakhi bahan se har koi bhai bahan ke sukh ke waste tayyar ho jata hai marne ko magar bhayya tumhaari zindagi to bahan ko dil se pyari hai salamat tum raho bhagwan se binti hamari hai jo chaho neg tum dena to mujh ko ye wachan de do na uthe phir koi diwar nafrat ki bahan bhai ke aangan mein nahin byopar kuchh is mein ye ek wyahwar hai bhayya nahin hai kachcha ye dora tera eatibar hai bhayya