labrez hai sharab-e-haqiqat se jam-e-hind sab falsafi hain khitta-e-maghrib ke ram-e-hind ye hindiyon ki fikr-e-falak-ras ka hai asar rifat mein aasman se bhi uncha hai baam-e-hind is des mein hue hain hazaron malak-sarisht mashhur jin ke dam se hai duniya mein nam-e-hind hai ram ke wajud pe hindostan ko naz ahl-e-nazar samajhte hain is ko imam-e-hind ejaz is charagh-e-hidayat ka hai yahi raushan-tar-az-sahar hai zamane mein sham-e-hind talwar ka dhani tha shujaat mein fard tha pakizgi mein josh-e-mohabbat mein fard tha