phailti hai sham dekho dubta hai din ajab aasman par rang dekho ho gaya kaisa ghazab khet hain aur in mein ek ru-posh se dushman ka shak sarsarahat sanp ki gandum ki wahshi gar mahak ek taraf diwar-o-dar aur jalti-bujhti batiyan ek taraf sar par khada ye maut jaisa aasman evening among enemies