kisi nigro ke tanomand paikar ki manind ye sahili aabnusi chattanen ki jin ke kataw samundar ki saffak maujon ke bakhshe hue ghaw mein wo samundar jo hai nilgun nili aankhon ki manind aur jis ki lahron ke hathon mein khanjar ke phal ki tarah jagmagata hua nuqrai jhag hai mauj-dar-mauj yalghaar hai khanjaron ki chattanon ke sine hadaf hain ye chattanen jo pa-basta be-zindagi aur tanha khadi hain samundar ke is nilgun aaine se bahut dur upar khule aasman pur faza mein bhatakte hue abr-paron ko sakit jahazon ke arshon pa mandlane wale safed aur aazad aabi-parindon ko sadiyon se dekhe chali ja rahi hain magar kya ye mumkin nahin in chattanon ko is qaid se aur tanhai se ho ke aazad un taeron baadalon titliyon ki tarah sabza-zaron khule paniyon aur raushan fazaon mein lahraate phirne ki hasrat bhi ho hai agar yun to phir un siyah-fam be-bas chatanon ko izn-e-rihai bhala kaun de