tum na aae the to har ek chiz wahi thi ki jo hai aasman hadd-e-nazar rahguzar rahguzar shisha-e-mai shisha-e-mai aur ab shisha-e-mai rahguzar rang-e-falak rang hai dil ka mere khun-e-jigar hone tak champai rang kabhi rahat-e-didar ka rang surmai rang ki hai saat-e-bezar ka rang zard patton ka khas-o-khar ka rang surkh phulon ka dahakte hue gulzar ka rang zahr ka rang lahu rang shab-e-tar ka rang aasman rahguzar shisha-e-mai koi bhiga hua daman koi dukhti hui rag koi har lahza badalta hua aaina hai colour of my heart ab jo aae ho to thahro ki koi rang koi rut koi shai ek jagah par thahre phir se ek bar har ek chiz wahi ho ki jo hai aasman hadd-e-nazar rahguzar rahguzar shisha-e-mai shisha-e-mai before you came, all stood still, seemed as it is, as it really is the sky was the sight’s limit, the road, a road, the glass of wine, a glass of wine.