aa ki wabasta hain us husn ki yaaden tujh se jis ne is dil ko pari-khana bana rakkha tha jis ki ulfat mein bhula rakkhi thi duniya hum ne dahr ko dahr ka afsana bana rakkha tha aashna hain tere qadmon se wo rahen jin par us ki madhosh jawani ne inayat ki hai karwan guzre hain jin se usi ranai ke jis ki in aankhon ne be-sud ibaadat ki hai tujh se kheli hain wo mahbub hawaen jin mein us ke malbus ki afsurda mahak baqi hai tujh pe barsa hai usi baam se mahtab ka nur jis mein biti hui raaton ki kasak baqi hai tu ne dekhi hai wo peshani wo rukhsar wo hont zindagi jin ke tasawwur mein luta di hum ne tujh pe utthi hain wo khoi hui sahir aankhen tujh ko malum hai kyun umr ganwa di hum ne hum pe mushtarka hain ehsan gham-e-ulfat ke itne ehsan ki ginwaun to ginwa na sakun hum ne is ishq mein kya khoya hai kya sikha hai juz tere aur ko samjhaun to samjha na sakun aajizi sikhi gharibon ki himayat sikhi yas-o-hirman ke dukh-dard ke mani sikhe zer-daston ke masaib ko samajhna sikha sard aahon ke rukh-e-zard ke mani sikhe jab kahin baith ke rote hain wo bekas jin ke ashk aankhon mein bilakte hue so jate hain na-tawanon ke niwalon pe jhapatte hain uqab bazu tole hue mandlate hue aate hain jab kabhi bikta hai bazar mein mazdur ka gosht shah-rahon pe gharibon ka lahu bahta hai aag si sine mein rah rah ke ubalti hai na puchh apne dil par mujhe qabu hi nahin rahta hai