ufuq ke us taraf kahte hain ek rangin wadi hai wahan ranginiyan kohsar ke daman mein soti hain gulon ki nikhaten har chaar-su aawara hoti hain wahan naghme saba ki narm-rau maujon mein bahte hain wahan aab-e-rawan mein mastiyon ke raqs rahte hain wahan hai ek duniya-e-tarannum aabshaaron mein wahan taqsim hota hai tabassum lala-zaron mein sunahri chand ki kirnen wahan raaton ko aati hain wahan pariyan mohabbat ke khuda ke git gati hain kanar-e-ab-e-husn-o-ishq baham sair karte hain gai-guzri ghalat-fahmi ka zikr-e-khair karte hain wahan ke rahne walon ko gunah karna nahin aata zalil o mubtazil jazbaat se darna nahin aata wahan ahl-e-mohabbat ka na koi nam dharta hai wahan ahl-e-mohabbat par na koi rashk karta hai mohabbat karne walon ko wahan ruswa nahin karte mohabbat karne walon ka wahan charcha nahin karte hum aksar sochte hain tang aa kar kahin chal den meri jaan! ai mere khwabon ki duniya chal wahin chal den ufuq ke us taraf kahte hain ek rangin wadi hai