koi shakh-e-tishna-o-khushk jis se hari na ho wo sahab kya jo chhalak ke rang na bhar sake rag-o-resha mein wo shabab kya dil-e-gum-shuda ko mein dhundne kahin shab ko mahw-e-junun chala to sada si aai ye sina se ki talash-e-khana-kharab kya tarab-afrin sahi rut kabhi mile bar-e-soz ko saz mein na tanawwo itna bhi jis ki tarz-e-nawa mein ho wo rabab kya nahin phul phul mahak baghair khile bala se khila kare ho masham-e-taza na jis ki ruh-e-shamim se wo gulab kya shiknen ye sharm nihan ki hain nazar aa raha hai jo parda sa tahon mein agar na haya-e-jalwa dabi hui to hijab kya jo likhe the shauq se khat unhen faqat itna un ka jawab tha ki jawab aisi jasaraton ka sukut ho to jawab kya jo pilai hai to ye masti-e-mae aish raat ka sath de ho daraaz tishna na jis ka shama ke bujhne tak wo sharab kya