mujhe rangoon se jab dawat-e-sher-o-sukhan aai tabiat fasle aur waqt ke chakkar se ghabrai dil-e-bargashta ko lekin ye main ne baat samjhai nahin kuchh subha-o-zunnar ke phande main girai wafadari mein shaikh o barhaman ki aazmaish hai wahan rangini-e-sher-o-sukhan ki aazmaish hai karachi se piya ki god mein hindostan aaya nai dehli se kahne ko purani dastan aaya jawani ke liye yaaden main su-e-gulistan aaya barae ahl-e-mahfil aur ba-yaad-e-raftagan aaya wo maskan tha wo madfan hai bahut se ahl-e-iman ka wo ek gul-dasta hai hum be-khudon ke taq-e-nisyan ka wo aisi sarzamin hai jis mein ahl-e-dil abhi tak hain jo shaikh o barhaman urdu ke hain qabil abhi tak hain nishan-e-'mir'-o-'ghaalib', 'dagh' aur 'sail' abhi tak hain jo shamen bach gai hain raunaq-e-mahfil abhi tak hain nami goyam darin gulshan gul-o-bagh-o-bahaar az man bahaar az yar o bagh az yar o gul az yar o yar az man uda dehli se aur ud kar main kalkatta mein aa pahuncha thaka-haara hua sahil pe jaise nakhuda pahuncha main apne sunne walon ke liye ban kar sada pahuncha chala urdu ki khatir az-kuja aur ta-kuja pahuncha meri urdu teri ulfat mein ab rangoon aaya hun tere ushshaq ki mahfil mein kuchh mazmun laya hun
This is a great subha dua shayari. True lovers of wafadari shayari images will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this khane ki dawat shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!