asnam-e-imarat ka parastar hai aalam sarmaya-e-ghaflat ka kharidar hai aalam katti hain sada sidq maqalon ki zabanen haq-go ke liye arsa-gah-e-dar hai aalam darwesh-e-khuda nan-e-shabina ko hai muhtaj go neamat-o-ikram ka bazar hai aalam shadab hai din-raat gharibon ke lahu se arbab-e-zar-o-sim ka gulzar hai aalam khud zahid-e-sad-sala giraftar hai jis mein wo halqa-e-tazwir-o-fusun-zar hai aalam har gam pe hai shoabada-e-nafs ka phanda raqqasa-e-auham ka darbar hai aalam dil khizr ka hai naghma-e-be-mani pe raqsan tahzib ke pazeb ka jhankar hai aalam is qahba-e-bazari se rakho na tawaqqo ehsan faramosh-o-ziyan-kar hai aalam sar rakhta hai aawara-mizajon ke qadam par ye haq mein wafadaron ke talwar hai aalam shair ke nahin sine mein gunjaish-e-takiya mana ki bahut dilkash-o-purkar hai aalam is ahd-e-pur-ashob mein 'bebak' na puchho kis darja jafa-kash-o-sitam-gar hai aalam