bahut uchhle wazir-e-tab-kari wo nahin aai andhere mein ye shab-e-tanha guzari wo nahin aai kisi ne chaar chhai das martaba kata tha galon par main karta hi raha machchhar-shumari wo nahin aai hamare ishq ki tajdid mein tha wapda hail andhere hi mein zulf us ki sanwari wo nahin aai hamare mulk mein nur-e-adalat aam karne ko bahut garja tha adl-e-iftikhari wo nahin aai zara si der ko baad-e-bahaari aai thi lekin tadap utthe the garmi se bihaari wo nahin aai mohalle se to sab aae the sham-e-arzu le kar hukumat ka tha shayad panw bhaari wo nahin aai kiya santosh ne inkar jab pankhe ko jhalne se to chhat par so gai mina-kumari wo nahin aai hamari bebasi ka ab tamasha dekhte kya ho sitaro tum to so jao hamari wo nahin aai