phulon pe raqs aur na bahaaron pe raqs kar gulzar-e-hast-e-bud mein kharon pe raqs kar ho kar jumud-e-gulshan-e-jannat se be-niyaz dozakh ke be-panah shararon pe raqs kar sham-e-sahar fusun-e-tabassum, hayat-e-gul fitrat ke in ajib nazaron pe raqs kar tanzim-e-kaenat-e-junun ki hansi uda ujde hue chaman ki bahaaron pe raqs kar sahmi hui sada-e-dil-e-na-tawan na sun bahki hui nazar ke ishaaron par raqs kar jo mar ke ji rahe the tujhe un se kya gharaz tu apne aashiqon ke mazaron pe raqs kar har har ada ho ruh ki gahraiyon mein gum yun rang-o-bu ki rah-guzaron pe raqs kar tu apni dhun mein mast hai tujh ko batae kaun teri zamin falak hai sitaron par raqs kar is tarah raqs kar ki sarapa asar ho tu koi nazar uthae to pesh-e-nazar ho tu