tum nahin jaante ho mujhe is se hasil hi kya hai magar tumhein jaan kar apni pahchan khoe hue main tumhaare ishaaron pe raqsan rahi ediyon mein kai bar ghungru kuan khod kar mar gae raqs ka zabta hai ki thakna nahin hai jahan tak tabalchi ki thapen paden tabla bajta rahe raqs chalta rahe main raqqasa hun raqs pesha hai mera magar tum tamashai ho kar tamashe pe hi moatakif kyon nahin ho mera har tamashai ki aankh mein khwab ban kar utarna har ek god mein hadisa ban ke girna tamannaon ko tabnaki se mamur karna kahin par bikharna kahin par simatna simatna bikharna bikharna simatna qadam tharthara ke achanak se ruk jaana likkha hua hai mujhe raqs mein mahw hi mat samajhna main pasli ki takhliq hun aade-tirchhe sabhi zawiye khub pahchanti hun raqs pesha hai mera main sab jaanti hun