safina-saz tha wo lakdiyan main kat lati thi so bas ek din kaha us ne lakadhaari anokhe ek safine ki hi ab takhliq baqi hai mujhe darkar hai jis ke liye nadida jangal ki khanakti surmai lakdi agar tu dhund lae to bana sakta hun main nadir safina ek main us ki baat sunte hi yakayak chaunk utthi phir nazar bhar kar use dekha zara sa muskurai aur kisi nadida jangal ki taraf chalne lagi paiham na-jaane kitne milon ki masafat par khadi hun par koi nadida jangal hi nahin milta khanakti surmai lakdi kahan se hath aaegi magar ab sochti hun ki safina-saz ko mere kisi sarsabz jangal ki khanakti surmai lakdi yaqinan mil gai hogi