raqs ki raat kisi ghamza-e-uryan ki kiran is liye ban na saki rah-e-tamanna ki dalil ki abhi dur kisi des mein ek nanha charagh jis se tanwir mere sina-e-gham-nak mein hai timtimata hai is andeshe mein shayad ki sahar ho jae aur koi laut ke aa hi na sake! raqs ki raat koi daur-e-tarab ban na sakta tha sitaron ki khudai gardish? mehwar-e-haal bhi ho, jada-e-ainda bhi aur donon mein wo paiwastati-e-shauq bhi ho jo kabhi sahil o dariya mein na thi, phir bhi hail rahe yun buad-e-azim lab hilen aur sukhan aaghaz na ho hath badh jaen magar lamisa be-jaan rahe? tujhe malum nahin, ab bhi har subh dariche mein se yun jhankta hun jaise tute hue takhte se koi tera nasib sakht tufan mein hasrat se ufuq ko dekhe: kash ubhar aae kahin se wo safina jo mujhe is gham-e-marg-e-tah-e-ab se aazad kare raqs ki shab ki mulaqat se itna to hua daman-e-zist se main aaj bhi wabasta hun, lekin is takhta-e-nazuk se ye ummid kahan ki ye chashm-o-lab-e-sahil ko kabhi chum sake,