nai jagah thi dur dur tak aakhir par diwaren shab ki kuchh yaron ne barpa kar di ek mahfil kuchh apne dhab ki unche dar se dakhil ho kar saf nasheb mein baithe ja kar ek maqam mein hue ikatthe raunaq aur virani aa kar markaz-e-dar se jashn-bapa tak sair thi sham-e-mehr-o-wafa ki khushi thi us se milne jaisi bechaini thi abr-o-hawa ki sab rangon ke log jama the ek hi manzil thi un sab ki ek basti aalam se khali ek faza kisi khwab-e-tarab ki jangal ki shadabi jaisa pahna tha koi jalwa us ne pairahan ek nai waza ka khule samundar jaisa us ne kar rakkha tha chehra apna dukh-mukh se be-parwa us ne meri taraf takne se pahle chaaron jaanib dekha us ne