wo rup rang rag ka payam le ke aa gaya wo kaam-dew ki kaman jam le ke aa gaya wo chandni ki narm narm aanch mein tapi hui samundaron ke jhag se bani hui jawaniyan hari hari rawish pe ham-qadam bhi ham-kalam bhi badan mahak mahak ke chal kamar lachak lachak ke chal qadam bahak bahak ke chal wo rup rang rag ka payam le ke aa gaya wo kaam-dew ki kaman jam le ke aa gaya ilahi ye bisat-e-raqs aur bhi basit ho sada-e-tesha kaamran ho kohkan ki jit ho