tere khaton ki khushbu hathon mein bas gai hai sanson mein rach rahi hai khwabon ki wusaton mein ek dhum mach rahi hai jazbaat ke gulistan mahka rahi hai har su tere khaton ki khushbu tere khaton ki mujh par kya kya inayaten hain be-muddaa karam hai beja shikayaten hain apne hi qahqahon par barsa rahi hai aansu tere khaton ki khushbu teri zaban ban kar aksar mujhe sunae baaten bani banai jumle rate-ratae mujh par bhi kar chuki hai apni wafa ka jadu tere khaton ki khushbu samjhe hain kuchh usi ne aadab chahaton ke sab ke liye wahi hain alqab chahaton ke sab ke liye barabar phaila rahi hai bazu tere khaton ki khushbu apne siwa kisi ko main jaanta nahin tha sunta tha lakh baaten aur manta nahin tha ab khud nikal lai beganagi ke pahlu tere khaton ki khushbu kya jaane kis taraf ko chupke se mud chuki hai gulshan ke par laga kar sahra ko ud chali hai roka hazar main ne aai magar na qabu tere khaton ki khushbu