in mah-o-sal par dastaras to nahin ek lamha magar ji rahe hain jo hum dastaras mein bhi hai aur bas mein bhi hai kyon na is lamha-e-mehrban ko mohabbat ke rangon mein gundhen kahani bana den use lamha-e-jawedani bana den ki hafton mahinon pe salon pe tari rahe mohlat zindagi se nikal ke bhi is kaenat-e-taghayyur mein jari rahe us ka phailao sadiyon pe bhaari rahe raqs jari rahe