musafir hue phir ek andhe safar ke pata tai-shuda mausamon ka kahin kho gaya hai bade shahr ke ek club mein, diwali manate hue kal kisi ne kaha tha cinema ke parde kai tij tyauhaar mele samete hue hain tumhein fikr kaisi ye kyun rang chehre ka phika pada hai tumhin sust qadmon pe nadim hue the tumhin ko hawas thi ki raftar qabu mein kar len khalaen khangalen gae mausamon ka janaza uthae kahan ja rahe ho koi ibn-e-maryam na hath aa sakega chalo us ko mitti ke niche daba den yahi aane walon ke haq mein munasib rahega