rashida-baji aur ek laDki

rashida-baji ne chup se munh par mere
ek thappad jo mara to main hans padi

de ke phir ek ghunsa unhon ne kaha
kan khinchun tumhaara to main hans padi

sab dalilen jo un ki thin maqul thin
aur mujhe pitne mein wo mashghul thin

bhuki ek bakri chupke se jab char gai
aa ke un ka gharara to main hans padi

un ka burqa bandariya ko pahna diya
pars bandar ke hathon mein pakda diya

jab wo ye kah ke ghabra ke rone lagin
hae burqa hamara to main hans padi

kha gai id ki wo siwayyan meri
mujh se bolin ki kha le tu bayyan meri

mare ghusse ke jhat aastinon ko jab
bazuon se utara to main hans padi

rashida-baji sun lo namazi bhi hain
wo mujahid bhi hain aur ghazi bhi hain

bandh kar sar pe paggad unhon ne junhi
dushmanon ko pukara to main hans padi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close