kisi din mere bare mein kisi akhbar mein ya phir risale mein zara sa zikr hota hai to apne aap par kuchh fakhr hota hai dikhata phirta hun sab ko main akhbaron risalon mein chhapi khabren bahut maghrur rahta hun main kuchh din tumhaare nam par to pura majmu’a hi likh dala hai main ne bahut charche hain jis ke log padhte hain tumhaare nam par likkhi hui nazmen tumhaare waste likkhi hui ghazlen meri jaan sach batao kaisa lagta hai meri nazmon ke chehron mein tumhaari shakl dikhti hai mere alfaz mein jab bhi tum apna nam padhti ho khud apne par tumhein bhi naz to hota hi hoga meri nazmon ke aaine mein khud ko dekh kar apne pe itraati to hongi magar meri ye mushkil hai ki jab bhi log mujh se puchhte hain kaun hai kis ke liye ye itni pyari nazmen itni dil-nashin ghazlen likhi hain main sab sach bol dena chahta hun tumhaare nam ka e'lan karna chahta hun phir bhi apne hont si leta hun ya nazren phira kar tal deta hun meri mushkil ka tum hi hal nikalo tumhin taslim kar lo han mere hi nam par diwane ne diwan likkha hai muqaddas lab se gar tasdiq kar do tum mere majmu’e ki is se ziyaada khub-surat aur mukammal rasm-e-ijra aur koi ho nahin sakti