tere karam ka karun shukr kis tarah se ada meri umid ko tu ne yaqin mein badla hai tere qadam se jo pur-nur ho gai mahfil sabhi ne socha ki dharti pe chand utra hai tere na hone se yan ka 'ajib manzar tha guman guzarta ki mahfil hai soz-khwani ki badhe qadam jo tere meri bazm ki jaanib faza mein phail gai itr shadmani ki tere raqib ki tana-zani ke dar se sanam pareshan-haal tha dil aur be-qarar bhi tha mujhe yaqin tha aaogi tod kar bandhan teri wafaon pe is darja e'tibar bhi tha mujhe hai fakhr tere faisle pe jaan-e-jigar ki tu ne meri mohabbat ki laj rakkhi hai zamane-bhar ke riwajon ko tod kar tu ne jahan mein 'ishq-o-sadaqat ki laj rakkhi hai bas ek bar tujhe dekhne ki khwahish thi ye rasm-e-ijra ki mahfil to ek bahana tha agar tu aata nahin yar meri mahfil mein mujhe kitab ke har lafz ko jalana tha