mere khwabon mein to har roz hi aa jati ho apne khwabon mein bhi kya mujh ko kabhi dekha hai main tumhein yaad har ek roz kiya karta hun kya mere bare mein tum ne bhi kabhi socha hai tum se mansub raha nam mera muddat tak jo zamane ne kaha man liya karta hun tum batao bhi to kya aur na batao bhi to kya jo bhi kuchh dil mein hai wo jaan liya karta hun kya meri fikr mein ghamgin hui ho tum bhi main to har sham hi lagta hai ki mar jata hun kya mere dard ka ehsas hua hai tum ko kyon main har roz bahut der se ghar jata hun meri sanson mein basi hai teri khushbu aise jaise gulshan koi phulon se mahak uthta hai tum mata'-e-dil-o-duniya ho meri jaan ki qasam jab tumhein dekhta hun dekh ke ye lagta hai gham nahin hai mujhe tum meri nahin ho sakti main kabhi bhi nahin is baat pe rone wala tum hamesha mere is dil mein rahogi jaanan ab mere sath yahan kuchh nahin hone wala