rasta jo ujalon ki taraf jata hai

rasta wo jo ujalon ki taraf jata hai
khubsurat se khayalon ki taraf jata hai

us taraf ja na saki thi wo bhatak jaane se
ghir ke sau tarah ki khwahish mein bahak jaane se

kaise daldal mein thi wo kaise ghane ban mein thi
kaisi mushkil mein thi kis tarah ki uljhan mein thi

rah pur-khar thi bachna tha kathin daman ka
chot aai wo bura haal hua tan man ka

wo pareshan thi ghere the use dheron gham
tha yaqin us ko ghalat rah pe hain us ke qadam

dhundne par use wo rah nazar aa hi gai
ek din manzil-e-maqsud ko wo pa hi gai

rah mil jaane se hairan-o-hirasan dil ko
ek tasalli mili muddat se pareshan dil ko

raat kuchh yun shab-e-mahtab hui hai us ki
ruh ek umr mein sairab hui hai us ki

mushkil un ke liye aasan hua karti hai
raston ki jinhen pahchan hua karti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close