shararat

shararat ki miyan pappu ne aisi
ki daddy ne pitai un ki kar di

wo man ke pas pahonche munh bisore
kaha un se badi sanjidgi se

hamein daddy ne kyon mara bataen
zaruri hai ki bachche mar khaen

kaha mummy ne sun kar baat un ki
shararat ki saza hai sab ko milti

ye mummy aap ne achchhi sunai
shararat ki saza hai bas pitai

to mummy kya hamare dada abba
jab aata tha yunhi un ko bhi ghussa

kiya karte the daddy ki pitai
jo ladte khel mein the bhai bhai

kaha pappu ne kuchh aisi ada se
ki peton mein pade bal hanste hanste

kaha mummy ne ye pappu miyan se
ye puchho ja ke tum abbu miyan se

magar ek baat main tum ko jataun
haqiqat kya hai ye tum ko bataun

shararat mein jo hoti hai hararat
utar jati hai hote hi marammat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close