us ke lahje mein sham ho rahi thi aur raste raston ko chhodte hue kisi aur raste par ja rahe the us ka badan khud se alag hone ke liye apne hi badan se puchh raha tha kunware rahne ki tapasya akarat gai kisi chahne wale ko us ne ek bosa bhi nahin diya us ki mitti ne kisi aur mitti ko chhua hi nahin shariat ki aamariyyat ko khud us ne hi dawat di thi warna khuda se kisi ghalat ko ghalat chhune ki baat to kabhi hui hi nahin thi aur koi hum se bhul ke hamari aakhiri khwahish bhi na puchhe aisa to kabhi hua hi nahin dubte hue jahaz mein bhagne wale aakhiri chuhe ko bhi to kisi ne bhi nahin dekha siwae us ke ki dubone wale pani ne khud ko dekha ya dubne wale ko dekha mohabbat jin rangon se bani hui kahani thi us ke kisi bhi kirdar ko is ne kabhi bhule se bhi pas na aane diya ek thandi jamid bisat par daudti hui mayusi ko parinda banne ki khwahish to zarur rahi hogi magar kya koi ye dekh sakta hai ki kisi botal se kag arne ke manzar mein botal ke baatin par kya guzarti hai kisi ghalat munh se nikle hue lafz se zindagi ki aab-o-hawa par kya guzarti hai duniya mein hone wale kisi bhi zulm ne bas misal hi to qaem ki ek tarikh hi to banai hath mein uthae hue ek patthar se an-ginat hathiyaron tak darmiyan mein zamane to an-ginat rahe honge ya tarikh to ek hi thi kisi ghalat ko sahi mein badalne ki khwahish duniya ka nizam badal sakti to aaj tak hum ghalat khwab na dekh rahe hote phir ye azab kya hai ki hum ek puri zindagi ghalat khwabon ke hawale karte hue khud khwab ho jaen ye aur baat ki pur-asrar ghaib mein yaqin na rakhne wale ko bhi kisi bhi ghaib se kuchh pane ya madad lene ki khwahish to hoti hai aur khwahish ka kya hai khwahish agar zamin par rengne wali chyunti bhi ho to wo hathi ko halak kar sakti hai ek chyunti hathi ko is liye halak kar deti hai ki use is ke sar tak pahanne ki rah ka gyan aadmi se kahin zyaada hota hai afsos ki chyunti se zyaada gyan wala aadmi to zamin par paida hi nahin hua afsos pahad ki chadhai chadhne aur unchi chotiyon ko sar karne walon mein se koi ek bhi aisa nahin hua jo pahle zindagi nam ke hathi ke sarki chadhai chadhta ya is ke sar ko sar kar chuka hota aadmi ne ghar banaya is mein rahne ke liye magar wo us mein kabhi raha is liye nahin ki ru-e-zamin par kisi bhi ghar ka baatin nahin ban saka ek puri duniya ka zahir to hamari nazar mein rakh diya gaya magar baatin se bani hui koi duniya to bani hi nahin to hum kya dekhte ya dikhane walon se hum kya kahte ya is se kya kahte jis ke lahje mein sham hone se pahle din ki raushni ki koi bisat to rahi hogi palat ke kuchh dekhne ki ada bhi nahin malum thi warna koi kah sakta hai ki use asbab se bhari hui duniya se kuchh mayassar aaya nahin kuchh bhi to nahin ya jo duniya asbab se bhari hui dikhai gai wo khud apni jagah thi bhi ya nahin aur is ki koi bhi shai apni jagah thi bhi ya nahin