jine ki kashmakash mein na be-kar daliye main third-diwisioner hun mujhe mar daliye phir nam apna qaum ka meamar daliye degree ko meri lijiye aachaar daliye kuchh qaum ka bhala ho to kuchh aap ka bhala mera bhala ho kuchh mere man bap ka bhala jata hai jis jagah bhi koi third-diwisioner kahte hain sab ki aa gaya tu kis liye idhar tu chal yahan se teri na hogi yahan guzar lauh-e-jahan pe harf-e-mukarrar hun main magar ya-rab zamana mujh ko mitata hai kis liye har shakhs mujh ko aankh dikhata hai kis liye main pas ho gaya hun magar phir bhi fail hun talim ke idaron ke hathon mein khel hun jis ka nishana jae khata wo ghulail hun main khak mein mila hua mitti ka tel hun aur uniwersity bhi nahin hai refinery surat bhi tasfiye ki nahin koi zahiri akhbar main ne dekha to mujh par hua ayan hote hain pas wo bhi na den jo ki imtihan yani ki honorary bhi milti hain degreeyan main jis zamin pe pahuncha wahin paya aasman degree hai ek gunahon ki tahrir mere sath gar ho sake to mang lun ek umr ko udhaar aur imtihan jis ka nahin koi e'tibar us imtihan ki bazi lagaunga bar bar kahte hain log is ko ye machhli ka hai shikar ye imtihan machhli phansane ka jal hai aalam tamam halqa-e-dam-e-khayal hai